Offline Dukan Ko Online Le Jane Ka Sabse Aasan Tarika
Aaj kal mohalle ya market ke customers bhi koi cheez lene se pehle mobile par search karte hain ki aas-paas kaunsi dukan open hai aur unke paas kya saman milta hai. Agar aapki dukan ki website Google par dikhai deti hai, toh naye customers seedha aapki dukan tak pahunchte hain.
Aapko kisi coding ya technical software ki zaroorat nahi hai. Bas apni dukan ki do-chaar achhi photos, dukan ka naam, address aur main products ki list WhatsApp par bhej dijiye. Hum poori website ready karke aapko link dete hain.